Pagelevel1

Ek shikayat papa se... by goku.

          Dreams

Ankh khuli to dekha jinko,
Vo bas aap hi the papa,
Jishka hath pakad kar chalna seekha,
Wo bas aap hi the papa,
Dekha sabko badalte maine,
Jo na badale wo bas aap hi the papa,
Sapno mai jeena sikhane wale,
Wo bhi aap hi the papa,
Wo bhi aap hi the papa...
.
Khud se jyada samjha mujhko,
Kash chah bhi meri aap samjh pate,
Jo karna tha duniya mai mujhko,
Usme kash sath mera aap de pate,
Padha likha kar abad kiya,
Kash azad mujhe aap kar pate,
Galti apki nhi hai papa,
Galti apki nhi hai papa,
Kash sab kuch hum apko samjha pate...
.
Apne bhi sapne sajaye mujh par,
Kash un sapno ko hum badal pate,
Nokari hi sab kuch nhi hoti papa,
Kash arman mere aap samjh pate,
Duniya ke best papa ho aap,
Kash sath mera aap de pate,
Janta tha paiso ki kami hai humko,
Kash sath mera aap de pate,
Kash sath mera aap de pate...
.
Mere liye bhagwan ho aap,
Zindagi par meri bada ehsan ho aap,
Par sapno ka dard bahut bura hai papa,
Kash sapno ko mere aap bacha pate,
Kash sapno ko mere aap bacha pate...
.
Ro uthata tha gir kar bachpan mai mai,
Har bar hansaya hai apne papa,
Ab ro uthata hu dekh kar mere sapno ko mai,
Ab ro uthata hu dekh kar mere sapno ko mai,
Kash ab bhi aap mujhe hansa pate,
Sab kuch to diya hai apne papa,
Kya sapne mere na de pate,
Kya sapne mere na de pate...
.
.
".@.G."
#goku.
.
Dosto kavita pasnd aai to please niche follow par click karna na bhoole...
Or share jarur kare...
.
Or meri videos aap YouTube par dekh sakte hai,
To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari videos mil jayengi...

Dikhane ko bas afsos reh gaya... Hindi kavita by goku

Dikhane ko bas afsos reh gaya...

.
Dosto is kavita mai ek boodha admi jisne apni saari zindagi bchcho ko padhane or parivar ki jarurte puri karne ke liye kamane mai hi guzar di, WO Aaj budhape mai akele baitha hua apne bchcho or guzar gai patni ko kuch is tarha yaad karta hai...
.
Jawani mai to kamane ka josh tha mujhme bhi,
Aaj bas afsos hai mujhme bhi...
Na Jane kab hath se nikal gaye wo meri khusiyon ke din,
Ab bas akelepan ka akrosh hai mujhme bhi...
.
Sheekha tha kamana jaruri hai bahut,
Sheekha tha kamana jaruri hai bahut,
Parivar me samay bitana kisi ne shikhaya hi nhi...
Bchche bade ho jayenge ye to janta tha mai,
Bad mai god mai na le paunga unhe ye to kisi ne bataya hi nhi...
.
Bhagta raha zindagibhar ye keh kar ki samay ke sath hu mai,
Apno ke sath hu ya nhi ye to dekha hi nhi...
Puchta raha har cheez ki keemat mai zindagi se apni,
Puchta raha har cheez ki keemat main zindagi se apni,
Par apno ki keemat to kabhi samjhi hi nhi...
Ab rota hu ye keh kar ki koi sath nhi hai mere,
Sath nibhane ki kosis to maine bhi kabhi ki hi nhi...
.
Biwi takti rahi rah meri har pal,
Lekin bitane ko sang uske mujhe ek bhi pal na mila...
Ab dinbhar ka samay hota hai mere pas,
Lekin ab ek bhi pal ko mera humdam na mila...
Bchcho ke sang jeena to mai bhi chahta tha,
Lekin paiso ki jarurto se kabhi reham na mila...
Ab har pal dhoondta hu mere akelepan ka ilaaz,
Lekin is gum ka mujhe marhum na mila...
.
Zindagi to mere sath thi tab hi tak has,
Ab to zinda hone ka bas ehsas reh gaya...
Kyu na bitaye the tab wo din maine apni duniya ke sath,
Kyu na bitaye the tab wo din maine apni duniya ke sath,
Ab to jatane ko bas afsos reh gaya...
Ab dikhane ko bas mera afsos reh gaya...
Dikhane ko bas afsos reh gaya...
.
.
By 
".@.G."
#Goku.
.
Dosto meri kavita pasnd aai to aap meri kavitao ki video YouTube par dekh sakte hai,
To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari kavitao ki videos mil jayengi...