Pagelevel1

Dikhane ko bas afsos reh gaya... Hindi kavita by goku

Dikhane ko bas afsos reh gaya...

.
Dosto is kavita mai ek boodha admi jisne apni saari zindagi bchcho ko padhane or parivar ki jarurte puri karne ke liye kamane mai hi guzar di, WO Aaj budhape mai akele baitha hua apne bchcho or guzar gai patni ko kuch is tarha yaad karta hai...
.
Jawani mai to kamane ka josh tha mujhme bhi,
Aaj bas afsos hai mujhme bhi...
Na Jane kab hath se nikal gaye wo meri khusiyon ke din,
Ab bas akelepan ka akrosh hai mujhme bhi...
.
Sheekha tha kamana jaruri hai bahut,
Sheekha tha kamana jaruri hai bahut,
Parivar me samay bitana kisi ne shikhaya hi nhi...
Bchche bade ho jayenge ye to janta tha mai,
Bad mai god mai na le paunga unhe ye to kisi ne bataya hi nhi...
.
Bhagta raha zindagibhar ye keh kar ki samay ke sath hu mai,
Apno ke sath hu ya nhi ye to dekha hi nhi...
Puchta raha har cheez ki keemat mai zindagi se apni,
Puchta raha har cheez ki keemat main zindagi se apni,
Par apno ki keemat to kabhi samjhi hi nhi...
Ab rota hu ye keh kar ki koi sath nhi hai mere,
Sath nibhane ki kosis to maine bhi kabhi ki hi nhi...
.
Biwi takti rahi rah meri har pal,
Lekin bitane ko sang uske mujhe ek bhi pal na mila...
Ab dinbhar ka samay hota hai mere pas,
Lekin ab ek bhi pal ko mera humdam na mila...
Bchcho ke sang jeena to mai bhi chahta tha,
Lekin paiso ki jarurto se kabhi reham na mila...
Ab har pal dhoondta hu mere akelepan ka ilaaz,
Lekin is gum ka mujhe marhum na mila...
.
Zindagi to mere sath thi tab hi tak has,
Ab to zinda hone ka bas ehsas reh gaya...
Kyu na bitaye the tab wo din maine apni duniya ke sath,
Kyu na bitaye the tab wo din maine apni duniya ke sath,
Ab to jatane ko bas afsos reh gaya...
Ab dikhane ko bas mera afsos reh gaya...
Dikhane ko bas afsos reh gaya...
.
.
By 
".@.G."
#Goku.
.
Dosto meri kavita pasnd aai to aap meri kavitao ki video YouTube par dekh sakte hai,
To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari kavitao ki videos mil jayengi...

No comments:

Post a Comment