Pagelevel1

Ae-dill bata tujhe hua hai kya.. Hindi kavita by goku

Ae-dill bata tujhe hua hai kya...

.
Ae-dill bata tujhe hua hai kya,
Ae-dill bata tujhe hua hai kya,
Lagta hai kyu itna khafa-khafa...
Chal pas Aaa are tham to jaa,
Muh kyu hai tera Aaj shuja-shuja...
.
Naraj hai to mujhe bata,
Koi raj hai to bhi bata,
Aaj mujhse hai itna door kyu?
Hui meri bhool to khul kar bata...
Ae-dill bata tujhe hua hai kya...
.
Chal maan bhi jaa ya de saja,
Har shart teri hai manzoor mujhe,
Sab le-le mera par door na jaa...
Tu sang hai sab sang hai,
Tab khush mera har ang hai,
Par Aaj Jo tu na sang hai,
Lagta hai duniya ye berang hai...
.
Teri smile ko miss karta hu,
Ab na hogi bhool promise karta hu,
Tere gusse se mai darta hu,
De-de na smile please request karta hu...
.
Ae-dill bata tujhe hua hai kya,
Lagta hai kyu itna khafa-khafa...
.
.
By
".@.G."
#Goku.
.
Dosto meri kavita pasnd aai to aap meri kavitao ki video YouTube par dekh sakte hai,

To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari kavitao ki videos mil jayengi...

No comments:

Post a Comment