Ruk ja Ae-barish ruk bhi jaa..
.
Ye kahani ek panchi ki hai Jo hawa mai udhana chahta hai par barish hone ki wajah se udh nahi pa raha hai..
To panchi parish se kuch is tarha bate karta hai...
.
.
Ruk ja Ae-barish ruk bhi jaa,
Kabhi kisi ke aage jhuk bhi jaa,
Chal ruk bhi ja na kisi bahane se,
Mat rok mujhe udh jaane se...
.
Ye mana ki tu khubshurat bahut hai,
Har kisi ko teri jarurt bahut hai,
Par affsoah...
Is taqut ka tujhe ghamnd bahut hai,
Chal ruk bhi jaa na please,
Mere bhi to arman bahut hai...
.
Mai jaan gaya tu na manegi,
Mai kya hu tu ab ye janegi,
Le nikal gaya mai udh Jane ko,
Manjilo ko apni pane ko,
Sapno ko mere sajane ko,,,
Us neele Ashman ko chuu Jane ko,
Chal ab hoja tu tyar mujhe ajmane ko...
.
Wah maan gaya tere ghamnad ko mai,.
Wah maan gaya tere ghamnad ko mai,
Barish tu or bhi tej ho gai,
Par ab to confuse ho gaya hu mai,
Ye tera Gussa hai mujhe par,
Ya ab tu bhi sharam se pani pani ho gai...
.
Ye thandi hawaye ab achi lag rahi hai,
Ye girti har boond ab achi lag rahi hai,
Na jane kyu tab se gussa tha mai tujh par,
Ab to teri ladti adaye bhi achi lag rahi hai...
.
Lagta hai khoob jamegi hmari,
Par tujhe kya hua tu kyu sant ho gai,
Thak gai hai lad kar mujhe,
Ya tu bhi meri diwani ho gai,
Socha to tha aj world war krunga tujhse,
Par ye to an ek prem kahani ho gai..
Ye to prem kahani ho gai..
.
By
".@.G."
#goku.
.
.
Dosto meri kavita pasnd aai to aap meri kavitao ki video YouTube par dekh sakte hai,
To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari kavitao ki videos mil jayengi...
No comments:
Post a Comment