Ye shardiyan WO yaandein..
.
In shardiyon ne kuch yaad dilaya,
Kuch aisa dikhaya Jo fir wapas na aya,
Uska intajar mai aaj bhi kiya karta hu,
Yaandon mai uski akshar kho jaya karta hu..
Ye shardiyan wo sab yaad dila gai,
Us se behtar zindagi ne kuch nhi diya ye bhi bata gai,
Uska naam mai akshar liya karta hu,
Fir bhool kar use mai Aage badh jaya karta hu..
.
Meri in baaton ko kuch or na samjh lena dosto..
Wo mera bachpan tha jise mai hardam yaad kiya karta hu..
.
Ab yaad ata hai zamana wo suhana,
Wo kood kar mummy ke pet par chad Jana,
Or papa ki kamar ko pakad kar so Jana,
Wo do rupay ki chocolate ke liye ghanto tak rona,
Or fir pachash paise ki tofi mai ek pal mai maan Jana,
WO bina thake bhagna or mitti mai kho Jana,
Ab bada satata hai wo jamana...
.
Papa ke kandho par Himalay se unche the hum,
Or kagaj ki nao mai samandar se Aage the hum,
Khilono mai apne bhool jate the gum,
Aaj yaadein nhi unki padhti hai kam...
.
Bhulau mai kaise mere wo bachpan ke din,
Jab rehta nhi tha ek bhi pal mummy ke bin,
Yaad aati hai papa ki wo dant bhi suhani,
Or yaad aati hai suni unse wo har ek kahani..
.
Chahate thi chand pakadne ki tab,
Par dil to titali ka diwana tha,
Khabar na thi kuch bhi shubah ki,
Or na shaam ka thikana tha..
Ab yaad ata hai wo Jo sab,
WO mere bachpan ka zamana tha..,
WO mere bachpan ka zamana tha...
.
.
Dosto mai bachpan mai sochta tha ki bada hokar mai kya banna chahta hu, par tab kuch bhi samjh nhi ata tha or ab bada ho gya to samjh aya ki bada hokar mai fir se bachcha banna chahta hu..
Mai fir se bachcha banna chahta hu..
.
.
".@.G."
#goku.
.
Dosto meri kavita pasnd aai to aap meri kavitao ki video YouTube par dekh sakte hai,
To abhi YouTube par jaye or search kare Gaurav Singh goku Jo mere YouTube channel ka naam hai jaha apko meri sari kavitao ki videos mil jayengi...
No comments:
Post a Comment